हिन्दू श्रद्धालुओं का मुख्य केंद्र और 51 शक्तिपीठों में एक चामुंडा देवी देव भूमि हिमाचल प्रदेश के कांगड़ा जिले में स्थित है. बानेर नदी के तट पर बसा यह मंदिर महाकाली को समर्पित है. पौराणिक कथाओं के अनुसार जब भगवान शंकर माता सती को अपने कंधे पर उठाकर घूम रहे थे, तब इसी स्थान पर माता का चरण गिर पड़ा था और माता यहां शक्तिपीठ रूप में स्थापित हो गई. चामुंडा देवी मंदिर भगवान शिव और शक्ति का स्थान है. भक्तों में मान्यता है कि यहां पर शतचंडी का पाठ सुनना और सुनाना श्रेष्ठकर है और इसे सुनने और सुनाने वाले का सारा क्लेश दूर हो जाता है.
दुर्गा सप्तशती के सप्तम अध्याय में वर्णित कथाओं के अनुसार एक बार चण्ड-मुण्ड नामक दो महादैत्य देवी से युद्ध करने आए तो, देवी ने काली का रूप धारण कर उनका वध कर दिया. माता देवी की भृकुटी से उत्पन्न कलिका देवी ने जब चण्ड-मुण्ड के सिर देवी को उपहार स्वरुप भेंट किए तो देवी भगवती ने प्रसन्न होकर उन्हें वर दिया कि तुमने चण्ड -मुण्ड का वध किया है, अतः आज से तुम संसार में चामुंडा के नाम से विख्यात हो जाओगी. मान्यता है कि इसी कारण भक्तगण देवी के इस स्वरुप को चामुंडा रूप में पूजते हैं.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Hindu
shraddhaluo ka mukhya kendra aur 51 shaktipitho me ek Chamunda Devi dev
bhumi Himachal Pradesh ke Kangda zile me sthit hai. Baner Nadi ke tat
par basa yah mandir Mahakali ko samarpit hai. Pauranik kathao ke anusar
jab Bhagvan Shankar Mata Sati ko apne kandhe par uthakar ghum rahe the,
tab isi sthan par mata ka charan gir pada tha aur mata yaha shaktipith
roop me sthapit ho gayi. Chamunda Devi Mandir Bhagvan Shiv aur Shakti ka
sthan hai. Bhakto me manyata hai ki yaha par Shatchandi ka path karna
sunana aur sunaana shreshthkar hai aur ise sunane aur sunane wale ka
sara klesh door ho jata hai.
Durga
Saptshati ke saptam adhyaay me varnit kathao ke anusar ek bar
Chand-Mund namak do mahadaitya Devi se yuddh karne aaye to, Devi ne Kali
ka roop dharan kar unka vadh kar diya. Mata Devi ki bhrikuti se utpann
Kalika Devi ne jab Chand-Mund ke sir Devi ko uphar swaroop bhent kiye to
Devi Bhagvati prasann hokar unhe var diya ki tumne Chand-Mund ka vadh
kiya hai, atah aaj se tum sansar me Chamunda ke naam se vikhyat ho
jaaogi. Manyata hai ki isi karan bhaktgan Devi ke is swaroop ko Chamunda
roop me poojte hain.
शहर : | कांगड़ा |
राज्य : | हिमाचल प्रदेश |
क्षेत्र : | उत्तर भारत |